logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2008

Shaam-e-gharibaa(n)

Shaam-e-gharibaa(n)

Kaisi Qayamat Laikar Aayi, Dasht-e-Balaa Mai Sham-e-Gharibaa(n)

Saani-e-Zehra Thi Pehre Par, Tashna Dahan Ba Haale Parishaa(n)

Aaye Ali, Jab Dashte Balaa Mai, Baap Ko Beti Ne Pehchaana

Phenk Diya Tuta Huwa Neza, Kadmon Me Ghir Kar Boli Who Dukhiya

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Aap Aagaye Is Dasht Mei, Accha Kiya Baba
Khud Dekhiye Kis Haal Mei, Hai Aapka Kunba

Hai Baap Kisi Ka Yahaa(n), Beta Hai Kisi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Paamaal Huwa Dil Mera, Qasim Ki Tarha Se
Saughaat Mujhe Kya Mili, Is Karbobala Se

Kaata Hai Pas-e-Pusht Se, Sar Mere Akhi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Khaimo(n) Ki Bachi Raakh Hai, Saadaat Ka Bistar
Kya Soyegi Is Raakh Par, Shabbir Ki Dukhtar

Ye Jalti Huwi Ret Hai, Gehwaara Kisi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Paivast Mere Qalb Mei, Barchhi Ki Ani Hai
Zainab Ki Toh Is Dasht Mei, Jaagir Luti Hai

Who Dekhiye Laasha Mere, Hamshakle Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Ay Baba Usse Khaagaye, Gham Karbobala Ke
Paala Tha Jisse Aapne, Saaye Mei Abaa Ke

Hai Dasht Mei Begoro Kafan, Laasha Ussi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Maanga Tha Jisse Aapne, Khaaliq Se Dua Mei
Matam Hai Ussi Sheyr Ka, Maqtal Ki Fazaa Mei

Gham Khagaya Uss Sheyr Ko, Bas Tashna Labi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

"Mazhar" Yeh Bayaa(n) Sunte Hii, Rone Lagaa Irfa(n)
Thi Aale Nabi Dasht Mei, Kis Darja Pareshaa(n)

Yeh Dekh Ke Tukre Huwa, Dil Gham Se Ali Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Yeh Dekhiye Kya Haal Hai, Awlaade Nabi Ka

Matam Hai Bapaa Dasht Mei, Abbas-e-Jari Ka

Abbas-e-Jari Ka, Abbas-e-Jari Ka

HomebookmarkmybayaazSetting